🪔 Lakshmi Chalisa (English Lyrics & PDF)

Print Friendly, PDF & Email
5/5 - (1 vote)

Lakshmi Chalisa (English Lyrics & PDF) –

|| Doha ||

Matu Lakshmi kari kripa karo hriday mein vaas.
Manokamna siddh kar puravahu meri aas.

||Sorathaa||

Yahi mor ardaas,
Haath jodh vinati karun.
Sab vidhi karau suvaas,
Jay jananijagdamba.

||Chaupai||

Sindhu suta main sumirau tohi.
Gyaan buddhi vigha do mohi.

Shri Lakshmi Chalisa

Tum saman nahin koi upkaari.
Sab vidhi puravahu aas hamaari.
Jay jay jagat janani jagdamba,
Sabki tum hi ho avalamba.

Tum hi ho sab ghat ghat vaasi,
Vinati yahi hamaari khaasi.
Jagjanani jay Sindhu Kumari,
Deenan ki tum ho hitkaari.

Vinavaun nitya tumahin mahaaraani,
Kripa karau jag janani Bhavani.
Kehi vidhi stuti karau tihari,
Sudhi lije aparadh bisaari.

Kripa drishti chitvavo mam oree,
Jagjanani vinati sun mori.
Gyaan buddhi jay sukh ki daata,
Sankat haro hamaari maata.

Ksheer sindhu jab Vishnu mathaayo,
Chaudah ratna sindhu mein paayo.
Chaudah ratna mein tum sukhraasi,
Seva kiyo prabhu bani daasi.

Jab jab janam jahaan prabhu leenhaa,
Roop badal taham seva keenhaa.
Swayam Vishnu jab nar tanu dhaara,
Leenheu avadhpuri avataraa.

Tab tum pragat Janakpuri maahi,
Seva kiyo hriday pulakaahi.
Apanaaya tohi antaryaami,
Vishva vidit tribhuvan ki swaami.

Tum sam prabal shakti nahin aani,
Kahan lau mahima kahau bakhani.
Man kram vachan karai sevakaai,
Man ichchhit vaanchhit phal paai.

Taji chhal kapat aur chaturaai,
Poojahin vividh bhaanti manlaai.
Aur haal main kahau bujhaai,
Jo yah paath karai man laai.

Taako koi kasht noi,
Man ichchhit paavai phal soi.
Traahi traahi jay duhkha nivaarini,
Trividh taap bhav bandhan haari.

Jo chaalisa padhai padhavai,
Dhyaan lagaakar sunai sunaavai.
Taakau koi na rog sataavai,
Putra aadi dhan sampatti paavai.

Putrahin aru sampatti heena,
Andh badhir kodi ati deena.
Vipra bolai kai paath karaavai,
Shanka dil mein kabhi na laavai.

Paath karavai din chalisa.
Ta par kripa karain Gaurisa.
Sukh sampatti bahut si pavai.
Kami nahin kahoon ki aavai.

Barah maas karai jo puja.
Tehi sam dhanyu aur nahin duja.
Pratidin paath karai man maahi.
Un sam koi jag mein kahoon naahi.

Bahuvvidhi kya main karoun badaai.
Ley pareeksha dhyaan lagai.
Kari vishwasa karai vrat nema.
Hoy siddh upjai ur prema.

Jai jai jai Lakshmi Bhavani.
Sab mein vyapit ho gun khani.
Tumharo tej prabal jag maahi.
Tum sam kou dayalu kahoon naahin.

Mohi anath ki sudhi ab lije.
Sankat kaati bhakti mohi dije.
Bhool chook kari kshama hamaari.
Darshan dajai dasha nihaari.

Bin darshan vyakul adhikaari.
Tumahi achhat dukh sahate bhaari.
Nahin mohin gyaan buddhi hai tan mein.
Sab jaanat ho apne man mein.

Rup chaturbhuj karke dhaaran.
Kasht mor ab karahu nivaaran.
Kehi prakaar main karoun badaai.
Gyaan buddhi mohi nahin adhikaai.

||Doha||

Trahi trahi dukh haarni,
Haru vegi sab traas.
Jayati jayati jay Lakshmi,
Karo shatru ko naash.
Ramdas dhari dhyaan nit,
Vinay karat kar jor.
Maatu Lakshmi daas par,
Karahu daya ki kor.

चालीसा संग्रह – link

आरती संग्रह – लिंक

स्त्रोत संग्रह – लिंक

Sharing Is Caring:

Leave a Comment