🪔 Lalita Mata Chalisa (English Lyrics & PDF)

5/5 - (1 vote)

Lalita Mata Chalisa (English Lyrics & PDF) –

Jai Jai Jai Lalite Maata,
Tab gun mahima hai vikhyata.

Tu sundari, Tripureshwari Devi,
Sur nar muni tere pad sevi.

Tu kalyani kast nivarni,
Tu sukh dayini, vipada harini.

Moh vinasini daitya nashini,
Bhakt bhavini jyoti prakashini.

Aadi shakti Shri Vidya rupa,
Chakra swamini deha anupa.

Hriday nivasini bhakt tarini,
Nana kasht vipati dal harini.

Dash vidya hai roop tumhara,
Shri Chandeswari, Naimish pyara.

Dhuma, Bagla, Bhairavi, Tara,
Bhuvaneshwari, Kamala, Vistara.

Shodashi, Chinnamasta, Matangi,
Lalite shakti tumhari sangi.

Lalite tum ho jyotit bhala,
Bhakt jano ko kam sambhala.

Bhari sankat jab-jab aaye,
Unse tumne bhakt bachaye.

Jisne kripa tumhari payi,
Uski sab vidhi se ban aai.

Sankat door karo Maa bhari,
Bhaktajano ko aas tumhari.

Tripureshwari, Shailaja, Bhavani,
Jai Jai Jai Shiv ki Maharani.

Yog siddhi paven sab yogi,
Bhonge bhog, Maha sukh bhogi.

Kripa tumhari pake Maa,
Jeevan sukhmay hai ban jata.

Dukhiyon ko tumne apnaya,
Maha mudh jo sharan na aaya.

Tumne jiski oor niyara,
Mili use sampatti, sukh sara.

Aadi Shakti jai Tripur-pyari,
Mahashakti jai jai bhayahari.

Kul yogini, Kundalini rupa,
Leela Lalite karen anupa.

Maha-Maheshwari, Maha Shakti de,
Tripur-sundari sada bhakti de.

Maha Mahanande, Kalyani,
Mookon ko deti ho vaani.

Ichha-jnana-kriya ka bhagi,
Hota tab seva anuragi.

Jo Lalite tera gun gawe,
Use na koi kasht satawe.

Sarv mangale jwala-malini,
Tum ho sarv shakti sanchalini.

Aaya Maa jo sharan tumhari,
Vipada hari usi ki saari.

Nama-karshini, Chitta-karshini,
Sarv mohini sab sukh-varshini.

Mahima tab sab jag vikhyata,
Tum ho dayamayi jagmata.

Sab saubhagya-dayini Lalita,
Tum ho sukhda karuna kalita.

Anand, sukh, sampati deti ho,
Kasht bhayanak hari leti ho.

Man se jo jan tumko dhyaave,
Vah turant manvanchit pave.

Lakshmi, Durga tum ho Kali,
Tumhi Sharada Chakra-kapali.

Mulaadhara, nivasini jai-jai,
Sahastrarambhamini Maa jai-jai.

Chhah chakron ko bhedne wali,
Karti ho sabki rakhwali.

Yogi, Bhogi, Krodhi, Kami,
Sab hain sevak sab anugami.

Sabko paar lagati ho Maa,
Sab par daya dikhati ho Maa.

Hemavati, Uma, Brahmamani,
Bhandasur ka, hridaya vidarini.

Sarv vipati har, sarvadhare,
Tumne kutil kupanthi taare.

Chandra-dharini, Naimish-vasini,
Kripa karo Lalite aghanashini.

Bhaktajano ko darshan dikhao,
Sanshay bhay sab shighra mitao.

Jo koi padhe Lalita Chalisa,
Hove sukh anand adhisa.

Jis par koi sankat aave,
Path kare sankat mit jave.

Dhyan laga padhe ikkis bara,
Purna manorath hove sara.

Putra heen santati sukh pave,
Nirdhan dhani bane gun gawe.

Is vidhi path kare jo koi,
Dukh bandhan chhute sukh hoyi.

Jitendra Chandra Bharatiya bataven,
Padhe Chalisa to sukh pavain.

Sabse laghu upay yeh jano,
Siddhi hoye man mein jo thano.

Lalita kare hriday mein basa,
Siddhi det Lalita Chalisa.

Doha:
Lalite Maa ab kripa karo,
Siddh karo sab kaam.
Shraddha se sir naay kar,
Karte tumhein pranam.

🪔 ललिता माता चालीसा (हिंदी) & (English Lyrics) PDF

चालीसा संग्रह – link

आरती संग्रह – लिंक

स्त्रोत संग्रह – लिंक

Sharing Is Caring:

Leave a Comment