lalitha Mata Chalisa (English Lyrics & PDF) –
Chaupaai
Jayati-jayati jai Lalite mata.
Tav gun mahima hai vikhyaata.
Tu sundari, Tripureshwari devi.
Sur nar muni tere pad sevi.
Tu kalyani kast nivaarini.
Tu sukh daayini, vipada haariini.
Moh vinaashini daitya naashini.
Bhakt bhavini jyoti prakaashini.
Aadi shakti Shri Vidya roopa.
Chakra swaminii deha anoopaa.
Hriday nivaasini bhakt taarini.
Nana kasht vipati dal haariini.
Dash vidya hai roop tumhaara.
Shri Chandreshwari Naimish pyaara.
Dhuma, Bagla, Bhairavi, Taara.
Bhuvaneshwari, Kamala, Vistara.
Shodashi, Chinnamastaa, Matangi.
Lalitshakti tumhaari sangi.
Lalite tum ho jyotit bhaala.
Bhaktajanon ka kaam sambhaala.
Bhaari sankat jab-jab aaye.
Unse tumne bhakt bachaye.
Jisne kripa tumhaari paayi.
Uski sab vidhi se ban aayi.
Sankat door karo Maa bhari.
Bhaktajanon ko aas tumhaari.
Tripureshwari, Shailaja, Bhavani.
Jay-jay-jay Shiv ki mahaaraani.
Yog siddhi paaven sab yogi.
Bhogen bhog maha sukh bhogi.
Kripa tumhaari paake Maa.
Jeevan sukhmayi hai ban jaata.
Dukhiyon ko tumne apnaaya.
Maha moorh jo sharan na aaya.
Tumne jiski oor nihara.
Mili use sampatti, sukh saara.
Aadi shakti jay Tripur pyaari.
Mahashakti jay-jay, bhay haari.
Kul yogini, Kundalini roopa.
Leela Lalite karen anoopa.
Maha-Maheshwari, Mahashakti de.
Tripur-Sundari sada bhakti de.
Maha-Maha-Nande kalyani.
Mookon ko deti ho vaani.
Ichha-gyaan-kriya ka bhaagi.
Hota tab seva anuraagi.
Jo Lalite tera gun gaave.
Use na koi kasht sataave.
Sarv mangale jwaala-malini.
Tum ho sarvshakti sanchaalini.
Aaya Maa jo sharan tumhaari.
Vipada hari usi ki saari.
Naama karshini, chinta karshini.
Sarv mohini sab sukh-varshini.
Mahima tav sab jag vikhyaata.
Tum ho dayaamaayi jag maata.
Sab saubhaagya daayini Lalita.
Tum ho sukhda karuna kalita.
Aanand, sukh, sampatti deti ho.
Kasht bhayaanak har leti ho.
Man se jo jan tumko dhyaave.
Vah turant man vaanchit paave.
Lakshmi, Durga tum ho Kaali.
Tumhi Sharada chakra-kapaali.
Mooladhara, nivaasini jay-jay.
Sahasrar gaamini Maa jay-jay.
Chhah chakron ko bhedne waali.
Karti ho sabki rakhwaali.
Yogi, bhogi, krodhi, kaami.
Sab hain sewak, sab anugaami.
Sabko paar lagaati ho Maa.
Sab par daya dikhatai ho Maa.
Hemaavati, Uma, Brahmani.
Bhandasur ki hriday vidaarini.
Sarv vipati har, sarv-aadhaare.
Tumne kutil kupanthi taare.
Chandra-dhaarinii, Naimishwaasini.
Kripa karo Lalite adhanaashini.
Bhaktajanon ko darshan dikhaao.
Sanshay bhay sab sheeghra mitaao.
Jo koi paRhe Lalita Chaalisa.
Hove sukh aanand adheesa.
Jis par koi sankat aave.
Paath kare sankat mit jaave.
Dhyaan laga paRhe ikkees baara.
Poorn manorath hove saara.
Putraheen santati sukh paave.
Nirdhan dhani bane gun gaave.
Is vidhi paath kare jo koi.
Dukh bandhan chhootai sukh hoi.
Jitendra Chandr Bharatiya bataavein.
PaDhein Chaalisa to sukh paavein.
Sabse laghu upaay yeh jaano.
Siddh hove man mein jo thhaano.
Lalita kare hriday mein baasaa.
Siddhi deti Lalita Chaalisa.
Doha
Lalite Maa ab kripa karo, siddh karo sab kaam.
Shraddha se sir naay kare, karte tumhein pranaam.
चालीसा संग्रह – link
आरती संग्रह – लिंक
स्त्रोत संग्रह – लिंक