🪔Shri Mahakaal Chalisa (English Lyrics & PDF)

5/5 - (1 vote)

Shri Mahakaal Chalisa (English Lyrics & PDF) –

Doha

Shri Mahakal Bhagwan ki mahima aparmpar,
Puri karte kaamna bhakton ki kartar.
Vidya – buddhi – tej – bal – doodh – poot – dhan – dhaan,
Apne akshay kos se Bhagwan karo pradan.

Chaupai

Jai Mahakal kaal ke nashak.
Jai trilokpati moksh pradayak.
Mritunjay bhavabhadha haari.
Shatrunjay karo vijay hamaari.

Aakash mein taarak lingam.
Patal mein haatakeshwaram.
Bhulok mein Mahakaaleshwaram.
Satyam – Shivam aur Sundaram.

Kshipra tat ookhar Shiv bhoomi.
Mahakal van paavan bhoomi.
Aashutosh Bhole Bhandari.
Natraj Baaghambardhari.

Srishti ko prarambh karate.
Kaalachakra ko aap chalaate.
Teerth avanti mein hain basate.
Darshan karate sankat harate.

Vish peekar Shiv nirbhay karate.
Neelkanth Mahakal kehate.
Mahadev ye Mahakal hain.
Niraakaar ka roop dhare hain.

Jyotirmay – Eeshan adheeshwar.
Param Brahm hain Mahakaaleshwar.
Aadi sanaatan – swayam jyotishwar.
Mahakal prabhu hain sarveshwar.

Jai Mahakal Maheshwar jai – jai.
Jai Harasiddhi Maheshwari jai – jai.
Shiv ke saath Shiva hai Shakti.
Bhakton ki hai raksha karti.

Jai Nageshwar – Saubhaagyeshwar.
Jai Bhole Baba Siddheshwar.
Rinmukteshwar – Swarn Jaaleshwar.
Aruneshwar Baba Yogeshwar.

Panch – Asht – Dvadash lingon ki.
Mahima sabse nyaari inki.
Shreekar Gop ko darshan de taari.
Nand Baba ki peedhiyan saari.

Bhakt Chandrasen Raja sharan aaye.
Vijayi kara ripu – mitra banaaye.
Daitya Dushan bhasm kiye.
Aur bhakton se Mahakal kahaaye.

Dusht daitya Andhak jab aaya.
Maatrkaon se nasht karaaya.
Jagjjanani hain Maa Giri Tanaya.
Shri Bholeeshwar ne maan badhaya.

Shri Hari ki tarjani se har – har.
Kshipra bhi laaye Gangaadhar.
Amritmay paavan jal paaya.
‘Rishi’ devon ne punya badhaya.

Namah Shivaya mantra panchaakshari.
Inka mantra bada bhayahari.
Jiske jap se mitati saari.
Chinta – klesh – vipad sansaari.

Sir jata – joot – tan bhasm sajai.
Dam – dam – damroo trishool sajai.
Shamshaan vihaari bhootpati.
Vishadhar dhari jai Umaapati.

Rudraksha vibhooshit Shivshankar.
Tripund vibhooshit Pralayankar.
Sarvashaktimaan – sarv gunadhaar.
Sarvgyan – sarvopari – jagadeeshwar.

Anaadi – anant – nitya – nirvikaari.
Mahakal prabhu – Rudra – avataari.
Dhaata – vidhaata – aj – avinaashi.
Mrityu rakshak sukharaashi.

Tridal – trinetra – tripund – trishooldhar.
Trikay – trilokpati Mahakaaleshwar.
Tridev – trayi hain ekeshwar.
Niraakaar Shiv Yogeshwar.

Ekaadash – praan – apaana – vyaan.
Udaan – naag – kurm – krikal samaan.
Devdatt Dhananjay rahein prasann.
Man ho ujjawal jab karein dhyaan.

Aghor – Aashutosh – jai audhardaani.
Abhishek priya Shri Vishweshwar dhyaani.
Kalyaanmay – aanand swaroop Shashi Shekhar.
Shri Bhole Shankar jai Mahakaaleshwar.

Pratham poojya Shri Ganesh hain, riddhi – siddhi sang.
Devon ke senapati, Mahavir skandh.
Annapurna Maa Parvati, jag ko deti ann.
Mahakal van mein base, Mahakal ke sang.

Doha

Shiv kahein jag Ram hain, Ram kahein jag Shiv,
Dhany – dhany Maa Sharada, aisi hi do preet.
Shri Mahakal Chaalisa, prem se, nitya kare jo paath,
Kripa mile Mahakal ki, siddh hoye sab kaaj.

श्री महाकाल चालीसा (हिंदी) & (English Lyrics) PDF

चालीसा संग्रह – link

आरती संग्रह – लिंक

स्त्रोत संग्रह – लिंक

Sharing Is Caring:

Leave a Comment