Shri Mahaveer Chalisa (English Lyrics & PDF) –
Sheesh nava Arihant ko, siddhan karoon pranaam.
Upadhyay aacharya ka, le sukhkaari naam.
Sarv sadhu aur Saraswati, Jin mandir sukhkaar.
Mahavir Bhagwan ko, man-mandir mein dhara.
Jai Mahavir Dayalu Swami, veer prabhu tum jag mein naam.
Vardhman hai naam tumhara, lage hriday ko pyaara pyaara.
Shaanti chhavi aur mohini moorti, shaan hansili sohni soorat.
Tumne vesh Digambar dhara, karm-shatru bhi tum se haara.
Krodh maan aru lobh bhagaya, maha-moh tumse dar khaya.
Tu sarvagn sarv ka gyaata, tujhko duniya se kya naata.
Tujhmein nahin raag aur dwesh, veer ran raag tu hitopdesh.
Tera naam jagat mein saccha, jisko jaane bachcha bachcha.
Bhoot pret tum se bhay khaven, vyantar rakshas sab bhag jaaven.
Maha vyadh maari na sataave, maha vikaraal kaal dar khavae.
Kaala naag hoye fan dhari, ya ho sher bhayankar bhaari.
Na ho koi bachaane waala, Swami tumhi karo pratipala.
Agni daavaanala sulag rahee ho, tej hawa se bhadak rahee ho.
Naam tumhara sab dukh khove, aag ekadam thandee hove.
Hinsaamay tha Bharat saara, tab tumne keena nistaara.
Janam liya Kundalpur nagari, hue sukhhee tab praja sagari.
Siddharth ji pita tumhaare, Trishala ke aankhon ke taare.
Chhod sabhi jhanjhat sansaari, Swami hue baal-brahmachari.
Pancham kaal maha-dukhadaai, Chandanpur mahima dikhlaai.
Teelon mein atishay dikhlaaya, ek gaay ka doodh giraya.
Soch hua mann mein gwaale ke, pahuncha ek faavda leke.
Saara teela khod bagaaya, tab tumne darshan dikhlaaya.
Jodharaj ko dukh ne ghera, usne naam japa jab tera.
Thanda hua top ka gola, tab sab ne jaykaara bola.
Mantri ne mandir banvaya, raaja ne bhi dravya lagaya.
Badi dharmashala banvaayi, tumko laane ko thahraayi.
Tumne todi beeson gaadi, pahiya khaska nahin agaadi.
Gwaale ne jo haath lagaaya, phir to rath chalta hi paaya.
Pahile din Baishakh badi ke, rath jaata hai teer nadi ke.
Meena gujar sab hi aate, naach-kood sab chit umgaate.
Swami tumne prem nibhaaya, gwaale ka bahu maan badhaya.
Haath lage gwaale ka jab hi, Swami rath chalta hai tab hi.
Meri hai tooti si naiyya, tum bin koi nahin khivaaya.
Mujh par Swami jara kripa kar, main hoon Prabhu tumhaara chaakar.
Tumse main aru kuchh nahin chaahoon, janm-janm tere darshan paaoon.
Chaaliise ko chandra banaave, veer prabhu ko sheesh navaave.
Soorata:
Nit chaaleesa hi baar, baath kare chaalees din.
Kheey sugandh apaar, Vardhman ke saamne.
Hoye Kubera samaan, janm daridri hoye jo.
Jiske nahin santaan, naam vansh jag mein chale.
चालीसा संग्रह – link
आरती संग्रह – लिंक
स्त्रोत संग्रह – लिंक