๐Ÿช” Baba Balak Nath Chalisa (English Lyrics & PDF)

Print Friendly, PDF & Email
5/5 - (1 vote)

Baba Balak Nath Chalisa (English Lyrics & PDF) –

Guru charano mein sees dhar karoon pratham pranam,
Baksho mujhko bahu-bal, sev karoon nishkaam,
Rom rom mein ram raha, roop tumhara nath,
Door karo, avgun mere, pakdo mera haath.

Balak nath gyaan bhandara.
Divas raat japu naam tumhara.

Tum ho japi tapi avinaashi.
Tum hi ho Mathura Kashi.

Tumhara naam jape nar nari.
Tum ho sab bhaktan hitkaari.

Tum ho Shiv Shankar ke daasa.
Beach gufa tumhara vaasa.

Sarvlok tumhara jas gaaven.
Rishi muni sab naam dhyaaven.

Kandhe par jholi viraaje.
Haath mein sundar chimta saaje.

Sooraj ke sam tej tumhara.
Man mandir mein kare ujaara.

Bal roop dhar goon charaave.
Ratnon ki kari door balayein.

Amar katha sunne ko rasiya.
Mahadev tumhare man basiya.

Shah talaiyan aasan laaya.
Shiv Bhole ka naam dhyaaya.

Ratnon ka tu putra kahaya.
Jimindaro ne bura banaya.

Aisa chamatkar tune dikhlaya.
Sabke man ka bhram mitaya.

Riddhi siddhi navnidhi ke daata.
Maat lok ke bhag vidhata.

Jo nar tumara naam dhyaaven.
Janam janam ke dukh bisraven.

Antkaal jo simran karta.
Bhav saagar se paar utarta.

Sankat kate mite sab roga.
Balak nath jape jo loga.

Lakshmi putra Shiv bhakt hai pyaara.
Balak nath hai naam tumhara.

Dudhadhari sir jata suhaave.
Ang vibhooti tan bhasm ramaave.

Paunahari Baba, Dudhadhari.
Kalyug ke tum ho avatar.

Adbhut tej pratap tumhare.
Ghat-ghat ki tum jaanan haare.

Bal roop dhari bhaktan taare.
Bhaktan ke hain paap mitaye.

Gorakh Nath siddh jatadhari.
Ajmane aaya tumhein paunahari.

Jab us pesh gayi na koi.
Haar maan phir mitrata hoi.

Ghat-ghat ke antar ki jaanat.
Bhale bure ki peedh pachanat.

Sookshm roop kare pawan ahaara.
Painahari hua naam tumhara.

Dar pe jyot jage din raina.
Tum rakshak bhay koi hai na.

Bhakt jan jab naam pukaara.
Tabhi unka dukh nivaara.

Sevak kare nit teri pooja.
Tum jaisa daani nahi dooja.

Teen lok mahima tab gaai.
Gaurakh ko jab kala dikhai.

Balak nath ajay avinaashi.
Karo kripa ghat-ghat ke vaasi.

Tumhara paath kare jo koi.
Bandhan chhoot maha sukh hoi.

Trahi trahi mein nath pukaroon.
Dehi darshan mohe paar utaaro.

Lai trishul shatrugan maare.
Bhakt jano ke kaaj samvaare.

Maat pita bandhu aur bhai.
Vipat kaal pooche nahi kai.

Dudhadhari ek aas tumhari.
Aan haro ab sankat bhaari.

Putrahin iccha kare koi.
Nischay nath prasad te hoi.

Balak nath ki gufa nyari.
Rot chadhavay jo nar naari.

Aitvaar vrat kare hamesha.
Ghar mein rahe na koi kalesha.

Karoon vandana sees nivaaye.
Nath ji rahna sada sahaaye.

Hum karen gunagaan tumhara.
Bhav saagar karo paar utaara.

เคฌเคพเคฌเคพ เคฌเคพเคฒเค• เคจเคพเคฅ เคšเคพเคฒเฅ€เคธเคพ (เคนเคฟเค‚เคฆเฅ€) & (English Lyrics) PDF

เคšเคพเคฒเฅ€เคธเคพ เคธเค‚เค—เฅเคฐเคน – link

เค†เคฐเคคเฅ€ เคธเค‚เค—เฅเคฐเคน โ€“ เคฒเคฟเค‚เค•

เคธเฅเคคเฅเคฐเฅ‹เคค เคธเค‚เค—เฅเคฐเคน – เคฒเคฟเค‚เค•

Sharing Is Caring:

Leave a Comment