🪔Brihaspati Chalisa (English Lyrics & PDF)

Print Friendly, PDF & Email
5/5 - (1 vote)

Brihaspati Chalisa (English Lyrics & PDF) –

Doha:

Pranvau pratham guru charan, buddhi gyaan gun khaan.
Shri Ganesh Sharad sahit, bason hriday mein aan.

Ajnani mati mand main, hain guruswami sujaan.
Doshon se main bhara hua hoon, tum ho kripa nidhan.

Chalisa:

Jai Narayan jai Nikhileshwar, vishwa prasiddh akhil tantrikeshwar.
Yantra-mantra vigyaan ke gyaata, Bharat bhoo ke prem prenata.

Jab jab hui dharm ki haani, Siddhashram ne pathaye gyaani.
Sachchidanand guru ke pyaare, Siddhashram se aap padhare.

Uchchakoti ke rishi-muni svechha, Oye karan dharm ki raksha.
Abki baar aapki baari, trahi trahi hai dhara pukaari.

Marundhar prant Kharantia grama, Multanchand pita kar Naama.
Sheshashaayi sapne mein aaye, Mata ko darshan dikhlaye.

Rupadevi maatu ati dharmik, janam bhayo shubh ikkees taareekh.
Janm divas tithi shubh saadhak ki, pooja karte aaraadhak ki.

Janm vritant sunaye naveena, mantra Narayan naam kari deena.
Naam Narayan bhav bhay haari, siddha yogi manav tan dhaari.

Rishivar Brahm tatva se oorjit, aatm swaroop guru gorvaanvit.
Ek baar sang sakha bhavan mein, kari snan lage chintan mein.

Chintan kart samadhi laagi, sudh-budh heen bhaye anuraagi.
Poorn kari sansaar ki reeti, Shankar jaise bane grihasthi.

Adbhut sangam Prabhu maya ka, avalokan hai vidhi chaaya ka.
Yug-yug se bhav bandhan reeti, jaha Narayan vaahi Bhagvati.

Saansarik man huye ati glaani, tab Himalay gaman ki thani.
Atharah varsh Himalay ghume, sarv siddhiya guru pag choome.

Tyag atal Siddhashram aasan, karam bhoomi aaye Narayan.
Dhara gagan Brahman mein goonje, jai Gurudev sadhana punji.

Sarv dharma-hit shivir purodha, karmakshetra ke atulit yodha.
Hriday vishaal shastra bhandara, Bharat ka bhautik ujiyaara.

Ek sau chhappan granth rachaita, seedhi sadhak vishwa vijeta.
Priya lekhak priya goodh pravakta, bhoot-bhavishya ke aap vidhata.

Aayurved jyotish ke saagar, shodash kala yukt Parmeshwar.
Ratan paarakhi vighan haranta, sanyaasi ananyatam santa.

Adbhut chamatkaar dikhlaya, paarad ka Shivling banaya.
Ved Puran shastra sab gaate, Pareshwar durlabh kehlate.

Pooja kar nit dhyaan lagaave, vo nar Siddhashram mein jaave.
Charo Ved kanth mein dhare, poojniya jan-jan ke pyaare.

Chintan karat mantra jab gaaye, Vishwamitra Vashishth bulaaye.
Mantra Namo Narayan saancha, dhyaanat bhakat bhoot-pishaacha.

Pratah kal karahi nikilaayan, man prasann nit tejswi tan.
Nirmal man se jo bhi dhyaave, riddhi siddhi sukh-sampati paave.

Path karahi nit jo chaalisa, shaanti pradaan karahi yogisa.
Astottar shat paath karat jo, sarv siddhiya paavat jan so.

Shri Guru Charan ki dhaara, Siddhashram sadhak parivaara.

Jai-jai-jai aanand ke swami, baar-baar namaami namaami.

🪔बृहस्पति चालीसा (हिंदी) & (English Lyrics) PDF

चालीसा संग्रह – link

आरती संग्रह – लिंक

स्त्रोत संग्रह – लिंक

Sharing Is Caring:

Leave a Comment