🪔 Shri Gayatri Chalisa (English Lyrics & PDF)

Print Friendly, PDF & Email
5/5 - (1 vote)

Gayatri Chalisa (English Lyrics & PDF) –

Doha –
Heen Shreem, Kleem, Medha, Prabha, Jeevan Jyoti Prachand.
Shanti, Kranti, Jagruti, Pragati, Rachna Shakti Akhand.
Jagat Janani, Mangal Karni, Gayatri Sukh Dhaam.
Pranavon Saavitri, Swadha, Swaha Pooran Kaam.

Chaupai –
Bhoor-Bhuvah-Svah, Om Yut Janani.
Gayatri Nit Kalimal Dahanini.

Akshar Choubis Param Punita.
Inmein Basen Shastra, Shruti, Geeta.

Shashwat Sato guni Satarupa.
Satya Sanatan Sudha Anoopa.

Hansarudha Sitambar Dhaari.
Swarnakanti Shuchi Gagan Bihari.

Pustak Pushp Kamandalu Maala.
Shubhra Varn Tanu Nayana Vishala.

Dhyaan Dharat Pulakit Hiya Hoi.
Sukh Upjat, Dukh Durmati Khoi.

Kaamdhenu Tum Sur Taru Chaaya.
Niraakar Ki Adbhut Maya.

Tumhari Sharan Gahai Jo Koi.
Tarai Sakal Sankat Son Soi.

Saraswati Lakshmi Tum Kaali.
Dipai Tumhari Jyoti Niraali.

Tumhari Mahima Paaran Paavein.
Jo Sharad Shat Mukh Gun Gaavein.

Chaaru Ved Ki Maatu Punita.
Tum Brahmani Gauri Seeta.

Mahamantra Jitne Jag Maahi.
Koou Gayatri Sam Nahin.

Sumirat Hiya Mein Gyaan Prakaasai.
Aalas Paap Aghaa Naasai.

Srishti Beej Jag Janani Bhavaani.
Kaala Raatri Varda Kalyaani.

Brahma Vishnu Rudra Sur Jete.
Tum Son Paavein Surta Tete.

Tum Bhaktan Ki Bhakt Tumhaare.
Jananihin Putra Praan Te Pyaare.

Mahima Aprampaar Tumhaari.
Jai Jai Tripada Bhay Haari.

Poorit Sakal Gyaan Vignaana.
Tum Sam Adhik Na Jag Mein Aana.

Tumahin Jaani Kachhu Rahai Na Shesha.
Tumahin Paay Kachhu Rahai Na Klesha.

Jaanat Tumahin, Tumahin Hai Jaai.
Paaras Parasi Kudhaatu Suhai.

Tumhari Shakti Dipai Sab Thaai.
Maata Tum Sab Thaur Samaai.

Grah Nakshatra Brahmanda Ghanere.
Sab Gativaan Tumhaare Prere.

Sakal Srishti Ki Praan Vidhaata.
Paalak Poshak Naashak Traata.

Maateshwari Daya Vrat Dhaari.
Tum San Tare Pataki Bhaari.

Japar Kripa Tumhaari Hoee.
Taapar Kripa Karen Sab Koi.

Mand Buddhi Te Budhi Bal Paavein.
Rogi Rog Rahit Hai Jaavein.

Daarid Mitai Katai Sab Peerai.
Naashai Dukh Harai Bhav Bheera.

Grih Kaleśh Chit Chinta Bhaari.
Naashai Gayatri Bhay Haari.

Santiti Heen Susantati Paavein.
Sukh Sampatti Yut Mod Manaavein.

Bhoot Pishach Sabai Bhay Khaavein.
Yam Ke Doot Nikat Nahin Aavein.

Jo Sadhava Sumiren Chit Laai.
Achat Suhag Sadaa Sukhdaai.

Ghar Var Sukh Prad Lahain Kumari.
Vidhava Rahen Satya Vrat Dhaari.

Jayati Jayati Jagdamba Bhavaani.
Tum Sam Aur Dayaalu Na Daani.

Jo Sadguru Son Deeksha Paavein.
So Saadhan Ko Safal Banaavein.

Sumiran Karen Suruchi Baddhaagi.
Lahain Manorath Grihi Viraagi.

Asht Siddhi Navnidhi Ki Daata.
Sab Samarth Gayatri Maata.

Rishi, Muni, Yati, Tapasvi, Yogi.
Aarat, Arthi, Chintit, Bhogi.

Jo Jo Sharan Tumhaari Aavein.
So So Man Vanchhit Phal Paavein.

Bal, Buddhi, Vigha, Sheel Swabhaau.
Dhan Vaibhav Yash Tej Uchhau.

Sakal Badhein Upje Sukh Naana.
Jo Yeh Paath Kare Dhar Dhyaana.

Doha –
Yeh Chalisa Bhaktiyut, Paath Kare Jo Koi.
Tapar Kripa Prasannata, Gayatri Ki Hoyi.

श्री गायत्री चालीसा (हिंदी) & (English Lyrics) PDF

चालीसा संग्रह – link

आरती संग्रह – लिंक

स्त्रोत संग्रह – लिंक

Sharing Is Caring:

Leave a Comment