🪔 Majisa Chalisa (English Lyrics & PDF)

5/5 - (2 votes)

Majisa Chalisa (English Lyrics & PDF) –

|| Doha ||
Jasolgarh mein the prakatya maharani, par hai ujaalo chyaaro mer
Jaisalmer, Jodhaano thane dhyaave aur aankho dhyaave Bikaner.
Mhaari thane hai binti, the rakhijo mhaari laaj
Thaari sharan mein mhe padya, ho Maajisa maharaj.

|| Chaupai ||
Jai Jai Jai Maa Bhatiyaani, kripa karo Maa Jai Kalyaani.
Jo koi sharan aap ki aata, jeevan safal vaanchhit fal paata.

Laakho dukhi Maa aapke taare, aaye rote huye jaaye haste saare.
Aapke dwaar pe jo bhi aaya, aakar woh kabhi nahin pashtaaya.

Jo jeevan ki chhod de aasha, timir naash kar karo prakaasha.
Anhoni ko honi kar do, roton ki tum jholi bhar do.

Jasolgarh hai aapka dhaam, nar-naari le aapka naam.
Door door se dhaam pe aate, man-vaanchhit fal ve hai paate.

Aapki hai niraali maya, korhi bhi paave kanchan kaaya.
Bhut-preet sab aap se kaampe, jab bhi naam aap ke jaape.

Kate rog sab mite kaalesha, phir nar nirbhay hoeye hamesha.
Jeevan-jyoti aap hai dete, deen-dukhhi sab aap se lete.

Gau-Brahman ke ho rakhwaare, inke khaatir shatru samhaare.
Aap ke tej ko namaskaar hai, is kaliyug mein chamatkaar hai.

Raathodi Banna sa thaare saage, le ghodo thaare chaale aage.
Dhol manjeera naubat baaje, subah-shaam thaari aarti saaje.

Har ek dhaam ki shobha nyaari, jhaad kahaave thaara poojaari.
Laal rang thaare man bhaave, taaron ki choonad cheer kahaave.

Aap ho Chandi ke avataari, thaari hai mahima ati bhaari.
Deepe aap ki jyoti niraali, kar darshan koi jaaye na khali.

Jeevan-daani aap hai dete, badle mein shraddha-suman hi lete.
Bhakt aap ke jab bhi pukaare, haajir ho kar dukh nivaare.

Chun-chun dushton ko aap samhaaro, bhakti-bhaav ko aap ubaaro.
Bal-buddhi ke aap hai daata, ho saakshaat jag-janani maata.

Vachan aap ke khali na jaate, maha vipada se aap bachaate.
Jo bhi dar pe aap ke aaya, jo maanga vaisa hi paaya.

Bade-bade gyaani mahagyaani, sabne baat aap ki maani.
Jaante sabke man ki baat, raksha karte din aur raat.

Jo raahi path-bhrasht ho jaave, aap ki jyoti se manzil paave.
Hamne liya hai aap ka sharan, aap ho rakshak phir kya darana.

Jai Bhatiyaani, Jai Kalyaani, hai sharan aap ke hum sab prani.
Aap ke parche hai bade bhaari, gun gaave sab nar aur naari.

Dhoop deep se saje aarti, Raathodi Banna sa hai saarathi.
Nikale jab bhi Maa ki sawaari, Jai ghosh kare janata saari.

Sharan aap ki hum padye hai, Maa hum hai chhote aap bade hai.
Aap ki mahima aparmpaar hai, hum mand-buddhi aur anaadhaar hai.

Kshama daan dena maharani, hriday gyaan ho amritvaani.
Jo koi padhe yeh roj chaalisa, ann-dhann lakshmi de Maajisa.

Sachche mann se jo koi dhyaave, uski naiya paar lagaave.
Maa sunenge binti jan-pukaar ki, Jai bolo Jasol darbaar ki.

|| Doha ||
Bhaktiyukt aur sachche mann se, jo padhe chaalisa koy.
Taa par sadaa meherbaani, Shri Maajisa ki hoy.

श्री माजीसा चालीसा (हिंदी) & (English Lyrics) PDF

चालीसा संग्रह – link

आरती संग्रह – लिंक

स्त्रोत संग्रह – लिंक

Sharing Is Caring:

Leave a Comment