🪔Guru Chalisa (English Lyrics & PDF)

Print Friendly, PDF & Email
5/5 - (1 vote)

Guru Chalisa (English Lyrics & PDF) –

Doha:
Om namo Gurudevjee,
Sabke sarjan haar.
Vyapak antar bahar mein,
Paar Brahm kartar.

Devan ke bhi dev ho,
Simrun main baar-baar.
Aapki kirpa bina,
Hove na bhav se paar.

Rishi-muni sab sant jan,
Japen tumhara jaap.
Aatmgyan ghat paaye ke,
Nirbhay ho gaye aap.

Guru chalisa jo padhe,
Urr guru dhyaan lagaye.
Janm-marann bhav dukh mite,
Kaala kabahun nahin khaye.

Guru chalisa padhe-sune,
Riddhi-siddhi sukh paaye.
Man vaanchit kaaraj saren,
Janm safal ho jaaye.

Chaupai:
Om namo Gurudev dayaala,
Bhaktajanon ke ho pratipala.
Par upkaar dharo avataara,
Doobat jag mein hans ek ubaara.

Tera darash karein bade bhagi,
Jinki lagan Hari se lagi.
Naam jahaaj tera sukhdaai,
Dhaare jeev paar ho jaai.

Parabrahm Guru hain avinaashi,
Shuddh swaroop sada sukhraashi.
Guru saman daata koi nahin,
Raja praja sab aas lagaai.

Guru sanmukh jab jeev ho jaave,
Koti kalp ke paap nasaave.
Jin par kirpa Guru ki hoi,
Unko kami rahe nahin koi.

Hirday mein Gurudev ko dhaare,
Guru uska hain janm sanwaare.
Ram-Lakhan Guru seva jaani,
Vishva vijayi hue mahajnani.

Krishna Guru ki aajna dhaari,
Swayam paarbrahm avataari.
Sadguru krupa ati hai bhaari,
Narad ki chaurasi taari.

Kathin tapasya karen Shukdev,
Guru bina nahin paaya bhed.
Guru mile jab Janak Videhi,
Aatmajnaan maha sukh lehi.

Vyaas, Vashishth marm Guru jaani,
Sakal shastra ke bhaye ati gyani.
Anant rishi muni avataara,
Sadguru charan-kamal chit dhara.

Sadguru naam jo hriday dhaare,
Koti kalp ke paap nivaare.
Sadguru seva ur mein dhare,
Ikkees pidhi apni vo taare.

Purvjannam ki tapasya jaage,
Guru seva mein tab man laage.
Sadguru-seva sab sukh hove,
Janam akaarath kyon hai khove.

Sadguru seva birla jaane,
Moorakh baat nahin pahchaane.
Sadguru naam japo din-raati,
Janm-janm ka hai yeh saathi.

Ann-dhan Lakshmi jo sukh chahe,
Guru seva mein dhyaan lagaave.
Gurukripa sab vighn vinaashi,
Mite bharam aatam parkaashi.

Poorv punya uday sab hove,
Man apna sadguru mein khove.
Guruseva mein vighn padaave,
Unka kul narkon mein jaave.

Guru seva se vimukh jo rahta,
Yam ki maar sada vah sahata.
Guru vimukh bhoge dukh bhaari,
Paramarth ka nahin adhikaari.

Guru vimukh ko narak na thaur,
Baatein karo chahe laakh kroda.
Guru ka drohi sabse boora,
Uska kaam hove nahin poora.

Jo sadguru ka leve naam,
Vo hi paave achal aaraam.
Sabhi sant naam se tariya,
Nigura naam bina hi mariya.

Yam ka doot door hi bhaage,
Jiska man sadguru mein laage.
Bhoot, pisach nikat nahin aave,
Gurumantra jo nishdin dhyaave.

Jo sadguru ki seva karte,
Daakan-shaakan sab hain darate.
Jantar-mantra, jaadu-tona,
Guru bhakt ke kuch nahin hona.

Guru bhakt ki mahima bhaari,
Kya samjhe nigura nar-naari.
Guru bhakt par sadguru boote,
Dharmaraj ka lekha chhute.

Guru bhakt nij roop hi chahe,
Guru maarg se lakshya ko paave.
Guru bhakt sabke sir taaj,
Unka sab devon par raaj.

Doha:
Yeh sadguru chalisa,
Padhe-sune chitt laaye.
Antar gyaan prakaash ho,
Daridrata dukh jaaye.

Guru mahima beant hai,
Guru hain param dayaal.
Saadhak man aanand kare,
Gurvar karen nihaal.

गुरु चालीसा (हिंदी) & (English Lyrics) PDF

चालीसा संग्रह – link

आरती संग्रह – लिंक

स्त्रोत संग्रह – लिंक

Sharing Is Caring:

Leave a Comment