ЁЯкФShri Parasnath Chalisa (English Lyrics & PDF)

Print Friendly, PDF & Email
5/5 - (1 vote)

Shri Parasnath Chalisa (English Lyrics & PDF) –

Doha:

Sheesh nava arihant ko,
siddhan karun pranam.
Upadhyay acharya ka le,
sukhkari naam.

Sarv sadhu aur Saraswati,
jin mandir surakhaar.
Ahichhatra aur Parshv ko,
man mandir mein dhaar.

Chaupai:

Parshvanath jagat hitkaari,
Ho swami tum vrat ke dhaari.
Sur nar asur karen tum seva,
Tum hi sab devan ke deva.

Tumse karam shatru bhi haara,
Tum keena jag ka nistaara.
Ashvasen ke rajdulaare,
Vama ki aankhon ke taare.

Kashi ji ke swami kahaaye,
Saari parja mauj udaaye.

Ik din sab mitron ko leke,
Sair karne ko van mein pahuche.
Haathi par kasakar ambaari,
Ik jungle mein gayi sawaari.

Ek tapasvi dekh vahaan par,
Usse bole vachan sunaakar.
Tapasi! Tum kyun paap kamaate,
Is lakkar mein jeev jalaate.

Tapasi tabhi kudaal uthaaya,
Us lakkar ko cheer giraya.
Nikle naag-naagin kaare,
Marne ke the nikat bichaare.

Raham Prabhu ke dil mein aaya,
Tabhi mantra navkaar sunaaya.
Mar kar vo paataal sidhaaye,
Padmavati Dharanendra kahaaye.

Tapasi mar kar dev kahaaya,
Naam kamath granthon mein gaaya.

Ek samay Shri Paras Swami,
Raj chhod kar van ki thaani.
Tap karte the dhyaan lagaaye,
Ek din kamath vahaan par aaye.

Phauran hi Prabhu ko pahichana,
Badla lena dil mein thaana.
Bahut adhik baarish barsaayi,
Baadal garje bijli girayi.

Bahut adhik patthar barsaaye,
Swami tan ko nahin hilaaye.
Padmavati Dharanendra bhi aaye,
Prabhu ki seva mein chit laaye.

Padmavati ne phan phailaaya,
Us par Swami ko baithaaya.
Dharanendra ne phan phailaaya,
Prabhu ke sar par chatra banaaya.

Karma nash Prabhu gyaan upaaya,
Samosharan Devendra rachaya.
Yahi jagah Ahichhatra kahaaye,
Paatra Kesari jahaan par aaye.

Shishya paanch sau sang vidwaana,
Jinko jaane sakal jahaana.
Parshvanath ka darshan paaya,
Sabne Jain dharam apnaaya.

Ahichhatra thi sundar nagari,
Jahaan sookhi thi parja sagari.
Raja Shri Vasupal kahaaye,
Vo ek Jin mandir banvaaye.

Pratima par palish karvaaya,
Phauran ek mistri bulvaaya.
Vah mistri maans khaata tha,
Isse palish gir jaata tha.

Muni ne use upaay bataaya,
Paras darshan vrat dilvaaya.
Mistri ne vrat palan keena,
Phauran hi rang chadha naveena.

Gadar sataavan ka kissa hai,
Ek maali ko yo likha hai.
Maali ek pratima ko lekar,
Jhat chhup gaya kuwe ke andar.

Us paani ka atishay bhaari,
Door hoye saari bimaari.
Jo Ahichhatra hriday se dhyaave,
So nar uttam padvi paave.

Putr sampada ki badhati hon,
Paapon ki ik dam ghatati hon.
Hai tahseel Aawla bhaari,
Station par mile sawaari.

Ramanagar ek gram baraabar,
Jisko jaane sab naari nar.
Chaalees ko ‘Chandra’ banaaye,
Haath jodkar sheesh navaaye.

Soratha:

Nit chaaleesahin baar,
paath kare chaalis din.
Kheya sugandh apaar,
Ahichhatra mein aaye ke.
Hoye Kubera samaan, janm daridri hoye jo.
Jiske nahin santan, naam vansh jag mein chale.

ЁЯкФрд╢реНрд░реА рдкрд╛рд░рд╕рдирд╛рде (рдкрд╛рд░реНрд╢реНрд╡рдирд╛рде) рдЪрд╛рд▓реАрд╕рд╛ (рд╣рд┐рдВрджреА) & (English Lyrics) PDF

рдЪрд╛рд▓реАрд╕рд╛ рд╕рдВрдЧреНрд░рд╣ – link

рдЖрд░рддреА рд╕рдВрдЧреНрд░рд╣ тАУ рд▓рд┐рдВрдХ

рд╕реНрддреНрд░реЛрдд рд╕рдВрдЧреНрд░рд╣ – рд▓рд┐рдВрдХ

Sharing Is Caring:

Leave a Comment