🪔 Vaishno Chalisa (English Lyrics & PDF)

Print Friendly, PDF & Email
5/5 - (1 vote)

Vaishno Chalisa (English Lyrics & PDF) –

Doha
Garud vahini Vaishnavi
Trikuta parvat dhaam

Kali, Lakshmi, Saraswati,
Shakti tumhe pranaam.

Chaupai
Namo Namo Vaishno varadaani,
Kali kaal me shubh kalyaani.

Mani parvat par jyoti tumhaari,
Pindi roop mein ho avataari.

Devi devata ansh diyo hai,
Ratnaakar ghar janm liyo hai.

Kari tapasya Ram ko paun,
Treeta ki shakti kaha laun.

Kaha Ram Mani parvat jaao,
Kaliyug ki Devi kaha laao.

Vishnu roop se Kalki bankar,
Loonga shakti roop badalkar.

Tab tak Trikuta ghaati jaao,
Gufa andheri jaakar paao.

Kali-Lakshmi-Saraswati Maan,
Karengi poshan Parvati Maan.

Brahma, Vishnu, Shankar dvaare,
Hanumat, Bhairon prahari pyaare.

Riddhi, Siddhi chhavarni dulaven,
Kaliyug-vaasi poojat aaven.

Paan supari dhvaja naarial,
Charanaamrit charanon ka nirmal.

Diya phalit var maa muskaai,
Karan tapasya parvat aayi.

Kali Kaalki bhadki jwaala,
Ik din apna roop nikala.

Kanya ban nagrota aayi,
Yogi Bhairon diya dikhayi.

Roop dekh sundar lalachaya,
Peeche-peeche bhaaga aaya.

Kanyaon ke saath mili maa,
Kaol-kandauli tabhi chali maa.

Deva maa darshan deena,
Pavan roop ho gayi praveena.

Navratriyon mein leela rachayi,
Bhakt Shreedhar ke ghar aayi.

Yogini ko bhandara deeni,
Sabne ruchikar bhojan keena.

Maans, madira Bhairon maangi,
Roop pavan kar iccha tyagi.

Baann maar kar Ganga nikli,
Parvat bhaagi ho matvaali.

Charan rakhe aa ek sheela jab,
Charan-paaduka naam pada tab.

Peeche Bhairon tha balakaari,
Choti gufa mein jaay padhaari.

Nau mah tak kiya nivaasa,
Chali phodkar kiya prakaasha.

Aadya shakti-Brahm kumaari,
Kahaai maa aad kunwaari.

Gufa dvaar pahunchi muskaai,
Laangur veer ne aagya paai.

Bhaaga-bhaaga Bhairon aaya,
Raksha hit nij shastra chalaaya.

Pada sheesh ja parvat oopar,
Kiya kshama ja diya use var.

Apne sang mein pujvaungi,
Bhairon ghaati banvaungi.

Pehle mera darshan hoga,
Peeche tera smaran hoga.

Baith gayi maa pindi hokar,
Charanon mein bahta jal jhar jhar.

Chausath yogini-Bhairon barvat,
Saptarishi aa karte sumiran.

Ghanta dhvani parvat par baaje,
Gufa niraali sundar laage.

Bhakt Shreedhar poojan keen,
Bhakti seva ka var leen.

Sevak dhyanoon tumko dhyaana,
Dhvaja v chola aan chadhaaya.

Singh sada dar pahra deta,
Panja sher ka dukh har leta.

Jambu dvip maharaj manaaya,
Sar sone ka chatra chadhaya.

Heere ki moorat sang pyaari,
Jage akhand ik jot tumhaari.

Sevak Kamal sharana tihaari,
Haro Vaishno vipat hamaari.

Kaliyug mein mahima teri,
Hai maa aparampaar

Dharm ki haani ho rahi,
Pragat ho avataar

चालीसा संग्रह – link

आरती संग्रह – लिंक

स्त्रोत संग्रह – लिंक

Sharing Is Caring:

Leave a Comment