Shyam Chalisa (English Lyrics & PDF) –
Jai ho sundar Shyam hamare,
Mor mukut manimay ho dhare.
Kanan ke kundal man mohe,
Peet vastr kati bandhan sohe.
Gal mein sohat sundar mala,
Saawari surat bhujaa vishaala.
Tum ho teen lok ke swami,
Ghat ghat ke ho antaryaami.
Padam nabh Vishnu avataari,
Akhil bhuvan ke tum rakhwaari.
Khatu mein Prabhu aap biraje,
Darshan karat sakal dukh bhaje.
Rajat sinhaasan aaye sohate,
Upar kalasha swarn mohate.
Agam anoop achyut jagadisha,
Madhav sur nar surpati eesha.
Baaj naubat shankh nagaare,
Ghanta jhalara ati jhankaare.
Makhan mishri bhog lagaave,
Nitya pujari chavar dhulaave.
Jai jai kaar hot sab bhaari,
Dukh bisarat saare nar naari.
Jo koi tumko man se dhyaata,
Manvaachint phal vo nar paata.
Jan man gan adhinaayak tum ho,
Madhu may amrit vaani tum ho.
Vidya ke bhandaar tumhi ho,
Sab granthan ke saar tumhi ho.
Aadi aur anaadi tum ho,
Kavijan ki kavita mein tum ho.
Neel gagan ki jyoti tum ho,
Soorat chaand sitaare tum ho.
Tum ho ek aru naam apaara,
Kan kan mein tumhara vistara.
Bhakton ke Bhagwan tumhi ho,
Nirbal ke balwaan tumhi ho.
Tum ho Shyam daya ke saagar,
Tum ho anant guno ke saagar.
Man dridh raakhi tumhein jo dhyaave,
Sakal padaarth vo nar paave.
Tum ho priya bhakton ke pyaare,
Deen dukh jan ke rakhwaare.
Putraheen jo tumhein manaave,
Nishchy hi vo nar sut paave.
Jai jai jai Shri Shyam Bihari,
Main jaao tum par balihari.
Janm maran so mukti deeje,
Charan sharan mujhko rakh lije.
Praatah uth jo tumhein manaave,
Chaara padaarth vo nar paave.
Tumne adham anekon taare,
Mere to Prabhu tumhi sahaare.
Main hoon chaakar Shyam tumhaara,
De do mujhko tanik sahaara.
Kodhi jan aavat jo draare,
Mite kodh bhagat dukh saare.
Nayanheen tumhaare dhing aave,
Pal mein jyoti mile sukh paave.
Main moorkh ati hi khal kaami,
Tum jaanat sab antaryaami.
Ek baar Prabhu darshan deeje,
Yahi kaamna pooran keeje.
Jab jab janam Prabhu main paao,
Tab charanon ki bhakti paao.
Main sevak tum swami mere,
Tum ho pita putra hum tere.
Mujhko paavan bhakti deeje,
Kshama bhool sab meri keeje.
Padhe Shyam Chalisa joee,
Antar mein sukh paave soee.
Saath paath jo iska karta,
An dhan se bhandaar hai bharta.
Jo Chalisa nitya sunaave,
Bhoot pishaach nikat nahin aave.
Sahasr baar jo isko gaavahi,
Nishchy vo nar mukti paavahi.
Kisi roop mein tumko dhyaave,
Man chite phal vo nar paavahi.
Nand baso hirday Prabhu mere,
Raakholaj sharan main tere.
चालीसा संग्रह – link
आरती संग्रह – लिंक
स्त्रोत संग्रह – लिंक