🪔 Pitar Chalisa (English Lyrics & PDF)

Print Friendly, PDF & Email
5/5 - (1 vote)

Pitar Chalisa (English Lyrics & PDF) –

Doha:

Hey Pitareshwar, aapko de diyo ashirwad,
Charanashish nava diyo rakh do sir par haath.

Sabse pehle Ganpat pache ghar ka dev manaava ji,
Hey Pitareshwar, daya raakhiyo kariyo man ki chhaya ji.

Chopai:

Pitareshwar karo maarg ujaagar, charan raj ki mukti saagar.
Param upkaar pitareshwar kiinha, manushya yoni mein janm diinha.

Matru-pitru dev manjo bhaave, soi amit jeevan phal paave.
Jai jai jai pitar ji saai, pitr rin bin mukti naahi.

Charon or prataap tumhaara, sankat mein tera hi sahaara.
Narayan aadhaar srushti ka, pitarji ansh usi drishti ka.

Pratham pujaan prabhu aagyaa sunaate, bhagya dwar aap hi khulvaate.

Jhunjhunu ne darbaar hai saaje, sab devon sang aap viraaje.
Prasann hoye man vaanchit phal deenha, kupit hoye buddhi har leenha.

Pitar mahima sabse nyaari, jiska gun gaave nar naari.
Teen mand mein aap biraaje, Basu Rudra Aditya mein saaje.

Naath sakal sampada tumhaari, main sevak samet sut naarri.
Chhappan bhog nahi hai bhaate, shuddh jal se hi trupt ho jaate.

Tumhaare bhajan param hitkaari, chhote bade sabhi adhikaari.
Bhaanu uday sang aap pujave, paanch anjuli jal rijhaave.

Dhvaj pataka mand pe hai saaje, akhand jyoti mein aap viraaje.
Sadiyon puraani jyoti tumhaari, dhany hui janm bhoomi hamaari.

Shaheed hamaare yahaan pujate, maatr bhakti sandesh sunaate.
Jagat pitaro siddhaant hamaara, dharma jaati ka nahin hai naara.

Hindu, Musalman, Sikh, Isai, sab pooje pitar bhaai.
Hindu vansh vrksh hai hamaara, jaan se jyaada hamko pyaara.

Ganga ye marupardesh ki, pitar tarpan anivaarya parivesh ki.
Bandhu chhodkar inke charanaan, inhi ki kripa se mile prabhu sharana.

Chaudas ko jaagran karvaate, amavas ko ham dhokh lagaate.
Jaati jadoola sabhi manaate, naandimukh shraddh sabhi karvaate.

Dhany janmabhoomi ka wo phool hai, jise pitar mandal ki mili dhool hai.
Shri pitar ji bhakt hitkaari, sun lijai prabhu araj hamaari.

Nishadin dhyaan dhare jo koi. Ta sam bhakt aur nahin koi.
Tum anaath ke naath sahaai. Deenan ke ho tum sada sahaai.

Chaarik ved prabhu ke saakhi. Tum bhakton ki lajja raakhi.
Naam tumhaaro let jo koi. Ta sam dhany aur nahin koi.

Jo tumhaare nit paav palotat. Navon siddhi charna mein lotat.
Siddhi tumhaari sab mangalkaari. Jo tum pe jaave balihari.

Jo tumhaare charna chitt laave. Taaki mukti avasi ho jaave.
Satya bhajan tumhaaro jo gaave. So nishchay chaaron phal paave.

Tumhi dev kuldev hamaare. Tumhi gurudev praan se pyaare.
Satya aas man mein jo hoi. Manvaanchhit phal paaven koi.

Tumhaari mahima buddhi badaai. Shesh sahastra mukh sake na gaai.
Main atideen malin dukhaari. Karahu kaun vidhi vinay tumhaari.

Ab pitar ji daya deen par kijai. Apni bhakti shakti kachu dijai.

।।Doha।।

Pittaron ko sthaan do, tirth swayam gram.
Shraddha suman chadhe vahaan, pooran ho sab kaam.

Jhunjhunu dhaam viraaje hain, pittar hamare mahaan.
Darshan se jeevan safal ho, pooje sakal jahaan.

Jeevan safal jo chahiye, chale jhunjhunu dhaam.
Pittar charan ki dhool le, ho jeevan safal mahaan.

श्री पितर चालीसा (हिंदी) & (English Lyrics) PDF

चालीसा संग्रह – link

आरती संग्रह – लिंक

स्त्रोत संग्रह – लिंक

Sharing Is Caring:

Leave a Comment