ЁЯкФ Shree Babosa Maharaj Chalisa (English Lyrics & PDF)

Print Friendly, PDF & Email
5/5 - (2 votes)

Shree Babosa Maharaj Chalisa (English Lyrics & PDF) –

|| Shri Babosa Chalisa ||

Babosa taran taran hain. Bhakton ke bhagwan.
Chalisa nit uth padhoon. Karne nij kalyan.
Pujniya Shri Babosa ka. Mantrakshar hai naam.
Unke pavitra naam se. Phalte vanchhit kaam.

Jai jai Babosa upkari.
Bhakton ke hain palan hari.
Babosa prabhuvardheshwar.
Babosa devon ke dev.

Babosa purushottam Ishwar.
Babosa kuldeep jineshwar.
Janm sthan hai Churu nagari.
Maa Chhagni ke nandan pyare.

Magh Shukla Panchami aayi.
Janme Shri Babosa gyani.
Bhadarva Shukla Panchami aayi.
Swarg padhare Babosa gyani.

Mingsar Shukla Panchami aayi.
Hanumat roop viraje gyani.
Bhav-bhav bhanjak paap nikandan.
Sankat-tap vinashak chandan.

Bhakt lagaye dhyaan jahan par.
Pahuche Babosa aap wahan par.
Akshar atul shakti ke swami.
Ghat-ghat ke ho antaryaami.

Babosa ke hum anuyayi.
Darshan do Babosa sukhdayi.
Bhaktajanon ke bhagya sanvare.
Kothari kuldeep kahaye.

Bhav-bhav ki sab peedh mitate.
Gyan-bhakti ke deep jalate.
Jap tumhara bhoot bhagata.
Upar ki sab chhaav mitata.

Amritvaani ka paan karaya.
Lakho jan ko trupt banaya.
Dev vaani ka shankh bajaya.
Janm-janm ka rog mitaya.

Churu mein sab rang lagaya.
Bhakton ka uddhar karaya.
Mangalkari jap tumhara.
Bhakton ko mil jaaye kinaara.

Pavan darshan dev tumhara.
Manju ka hai bhagya-sahara.
Bajrangi ka laal kahaye.
Hai yeh sachmuch sacha panna.

Naam tumhara shubh phal data.
Bhoot-preth bhay door bhagata.
Antaryaami Shivpath gaami.
Chaaro tirth ke sacche swami.

Balaji ke ho avataari.
Bhakton ke ho sankat haari.
Swarglok mein bigul bajaya.
Bhakton ko darshan dikhlaya.

Sudha tulya hai teri vaani.
Sun harshit hote nar-naari.
Teri kripa yadi ho jaaye.
Andha dekhe, goonga gaaye.

Bin paani ke naav chalaye.
Aandhi mein bhi jyot jalaye.
Hum sab hain teri phulwari.
Tu hai is baghiya ka maali.

Teri mahima sabse nyaari.
Tu hai prabhu, baal brahmachari.
Tujhko har pal yaad kare jo.
Uska palan haar bane tu.

Jo teri jayakaar lagaye,
Uska beda paar lagaye.
Bhakton ko ek dor mein laye,
Prem-bhaav ka shrot bahaaye.

Shri Balaji ka roop kahaye,
Bajrangi ke man ko bhaaye.
Babosa hain ghat-ghat jnyata,
Bhakton ke hain bhagya vidhata.

In charanon mein man ram jaaye,
Yamraj phir nikat na aaye.
Babosa roon run bas jaaye,
Uske paap pralay ho jaaye.

Leela ki asvaari karta,
Bhakton ke dukh pal mein hartaa.
Tanti shubh hai, jal hai paawan,
Aur bhabhoot hai kasht nivaaran.

Chalisa yeh bhagya vidhata,
Jan-jan ko hai yeh sukhdaata.
Jeevan-dhan banta sanskaari,
Sthir mann paath karo nar-naari.

ЁЯкФ рд╢реНрд░реА рдмрд╛рдмреЛрд╕рд╛ рдЪрд╛рд▓реАрд╕рд╛ (рд╣рд┐рдВрджреА) & (English Lyrics) PDF

рдЪрд╛рд▓реАрд╕рд╛ рд╕рдВрдЧреНрд░рд╣ – link

рдЖрд░рддреА рд╕рдВрдЧреНрд░рд╣ тАУ рд▓рд┐рдВрдХ

рд╕реНрддреНрд░реЛрдд рд╕рдВрдЧреНрд░рд╣ – рд▓рд┐рдВрдХ

Sharing Is Caring:

Leave a Comment